mein na kahta tha ki shahron mein na ja yar mere

mein na kahta tha ki shahron mein na ja yar mere
sondhi mitti hi mein hoti hai wafa yar mere

koi tute hue khwabon se kahan milta hai
har jagah dard ka bistar na laga yar mere

silsila phir se juda hai to juda rahne de
dil ke rishton ko tamasha na bana yar mere

apni chahat ke shab-o-roz mukammal kar le
ja ye suraj bhi tere nam kiya yar mere

tujh se milta hun to rishta koi yaad aata hai
silsila mujh se ziyaada na badha yar mere

aisa lagta hai ki kuchh tut raha hai mujh mein
chhod ke tu mujhe is waqt na ja yar mere

khush-nasibi se ye saat tere hath aai hai
aasman jhukne laga hath badha yar mere


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close