moti nahin hun ret ka zarra to main bhi hun dariya tere wajud ka hissa to main bhi hun ai qahqahe bikherne wale tu khush bhi hai hansne ki baat chhod ki hansta to main bhi hun mujh mein aur us mein sirf muqaddar ka farq hai warna wo shakhs jitna hai utna to main bhi hun us ki tu soch duniya mein jis ka koi nahin tu kis liye udas hai tera to main bhi hun ek ek kar ke dubte tare bujha gae mujh ko bhi dubna hai sitara to main bhi hun ek aaine mein dekh ke aaya hai ye khayal main kyun na us se kah dun ki tujh sa to main bhi hun