mera dard-e-dil hai rawan-dawan mera zakhm-e-dil bhi gulab hai meri khushbuon si hai dastan ye jahan meri kitab hai main qalam ka ek sipahi hun meri zehniyat mein hai shairi jahan fikr ki hai bulandiyan mera harf harf wo bab hai kabhi mere dil mein tu dekhna ki jahan tamam simat gae kare zikr jis ka har ek zaban mere dard ka wo shabab hai tujhe sath kaise main le chalun main safar pe hun kisi tur ke tere sath chalti hain mastiyan teri chaal mauj-e-chanab hai mere baal-o-par mein wo hausla hai jo aasman ko samet le jo mujhe banaega jawedan meri chashm-e-tar mein wo khwab hai mujhe le ke chalna hai le ke chal par use bhi le le tu sath mein mujhe kar na paega tu bayan main sawal hun wo jawab hai main nashe mein tere hi chur hun tere pas ho ke bhi dur hun tu mere wajud mein hai nihan tera gham hi meri sharab hai ye nujum-o-shams-o-qamar sabhi mein jo raushni hai mujhi se hai mera qarz-dar hai aasman mere zakhmon hi ki wo tab hai main ne sarf kar di hai zindagi teri manzilon ki talash mein tujhe dhundhta na phira kahan mere ishq ka tu sarab hai