mera dast-e-arzu phaila hua aur us ne hath hai khincha hua dasht mein mujh ko sada deta hai kaun kaun aaya hai yahan bhatka hua itna dauda hun sarabon ki taraf bahte dariyaon pe bhi dhoka hua kya aman mangun main us se jaan ki jaankani mein hai jo khud uljha hua jis taraf dekho jazire ban gae kya samundar bhi hai ab simta hua qais ki miras mere pas hai naqa-e-laila ko dhundo kya hua kuchh na tha bas jiddat-e-alfaz thi us ka har mazmun be-mani hua main ne sari raat ki jis ki talash subh wo suraj mila duba hua ahd tha mera to patthar ki lakir kachcha dhaga us ka har wada hua