uske hathon mein wo tasir-e-masihai thi

us ke hathon mein wo tasir-e-masihai thi
sukhte ped se bhi shakh nikal aai thi

zindagi bhar wo udasi ke liye kafi hai
ek taswir jo hanste hue khinchwai thi

kal to marne mein suhulat bhi bahut thi mujh ko
hijr tha raat thi barsat thi tanhai thi

mar gaya pyas se wo shakhs bhi ab hairat hai
jis ki dariyaon se barson ki shanasai thi

dekh lene ki suhulat to sabhi ko thi magar
chand hi aankhen thin jin aankhon mein binai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close