tumhaari bazm mein jaane ye kaisa aalam hai

tumhaari bazm mein jaane ye kaisa aalam hai
charagh jitne ziyaada hain raushni kam hai

rawish rawish pe hain khun-reziyon ke hangame
qadam qadam pe yahan zindagi ka matam hai

chaman mein phul khile hain magar udas udas
bahaar aai hai lekin khizan ka aalam hai

wo aankh aankh nahin jis mein sail-e-ashk na ho
wo phul khar hai jo be-niyaz-e-shabnam hai

khizan ki god mein lutti rahi hayat-e-chaman
magar hunuz wahi baghban ka aalam hai

hain yun to raunaqen mahfil mein aap ki lekin
bahaar kam hai khushi kam hai dilkashi kam hai

jidhar bhi dekhiye insaniyat nahin milti
ye kis maqam pe 'arman' ibn-e-adam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close