mera dil dekho ab ya mere dushman ka jigar dekho tumhaare bas mein aankhen hain jidhar jao udhar dekho qayamat mein na mere munh se phir fariyaad niklegi agar ye kah diya us ne yahan aao idhar dekho tumhaare nam par mar mitne wala kaun hai main hun agar socho agar samjho agar mano agar dekho mere dil ko chara kar phir churao aankh kya mani nigah-e-qahr hi se tum mujhe dekho magar dekho jo kahta hun fana ke baad sab ko chain milta hai to wo kahte hain phir ab der kya tum bhi mar dekho raqibon ko tum aankhen to dikhate ho sar-e-mahfil kahin aisa na ho ban jae meri jaan par dekho kisi ko dekh kar ai 'nuh' kaisi kuchh bani dil par ye kis kam-bakht ne tum se kaha tha tum idhar dekho