wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha tu hawa ke ishq mein ghul gaya main zamin ki chah mein jal-bujha ye jo shakh-e-lab pe hujum-e-rang-e-sada khila hai gali gali kahin koi shoala-e-be-nawa kisi qatl-gah mein jal-bujha jo kitab-e-ishq ke bab the teri dastaras mein bikhar gae wo jo ahd-nama-e-khwab tha wo meri nigah mein jal-bujha hamein yaad ho to sunaen bhi zara dhyan ho to bataen bhi ki wo dil jo mahram-e-raaz tha kahan rasm-o-rah mein jal-bujha kahin be-niyazi ki lag mein kahin ehtiyat ki aag mein tujhe meri koi khabar bhi hai mere khair-khwah main jal-bujha meri rakh se nai raushni ki hikayaton ko samet le main charagh-e-subh-e-visal tha teri khema-gah mein jal-bujha wo jo harf-e-taza-misal the unhen jab se tu ne bhula diya teri bazm-e-naz ka bankpan kisi khanqah mein jal-bujha