mera din khubsurat yun bana deta to kya hota wo hum ko pyar se aa kar jaga deta to kya hota bahut wade kiye the aap ne to sath rahne ke mohabbat mein agar ek do nibha dete to kya hota mera is shab ki tariki se dil bechain hota hai rukh-e-anwar se wo parda hata dete to kya hota musawwir hun tasawwur aap ki taswir hai mera tumhein gar apni yaadon se mita dete to kya hota main kab se muntazir tha aap ki nazar-e-karamat ka jo lamhe bhar ko hi chehra dikha dete to kya hota ajab ye shauq hai galiyon mein teri roz aata hun teri rahon mein hi ghar ko bana dete to kya hota main apne zakhm khud hi dekh kar khud se ye kahta hun wo hans kar tal jate hain saza dete to kya hota hai un ki shairi ka bhi bahut charcha zabanon par ghazal hum ko bhi wo 'haidar' suna dete to kya hota