zakhm jab guftugu nahin karta chaaragar bhi rafu nahin karta shahr-e-ulfat ka wo munafiq hai baat jo ru-ba-ru nahin karta baat-be-baat muskuraata hun gham ko main surkh-ru nahin karta huk andar se uth rahi hai miyan main dikhane ko hu nahin karta zabt ki aakhiri nishani hai main agar hao-hu nahin karta thik hai dekh-bhaal karta hai zakhm lekin rafu nahin karta apne tain wo khub likhta hai lafz ki aabru nahin karta ai mere parsa bata mujh ko main jo karta hun tu nahin karta jo udasi ka ped hai 'shahid' sabz-rut mein numu nahin karta