mera jahan abhi mera jahan bana hi nahin

mera jahan abhi mera jahan bana hi nahin
zamin bani hi nahin aasman bana hi nahin

hazar sabz sahi raegan si lagti hai
wo shakh jis pe kabhi aashiyan bana hi nahin

koi bhi surat-e-haalat der pa na hui
jo gham aziz hua jawedan bana hi nahin

jis inqalab ki surkhi mere lahu ne likhi
wo inqalab meri dastan bana hi nahin

bahut si aur bhi sharten hain karwan ke liye
hujum se to kabhi karwan bana hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close