nanha sa diya hai ki tah-e-ab hai raushan bujhti hui aankhon mein koi khwab hai raushan sunsan jazire mein chamakta hua tara dil hai ki koi kashti-e-shab-tab hai raushan dahshat ke farishte hain fasilon pe hawa ki aur chaaron taraf shahr ke sailab hai raushan main dubta jata hun teri mauj-e-badan mein yun raqs mein kirnen hain ki gardab hai raushan han jism ke is qarya-e-be-nur ke andar ab bhi wo tere lams ka mahtab hai raushan main dhundhta phirta hun jise baam-e-falak par wo chand sar-e-halqa-e-ahbab hai raushan 'shahid' ki jo wo khak-nashin mahram-e-jaan hai sajdon se abhi us ke ye mehrab hai raushan