mera kiya tha main tuta ki bikhra raha tere hathon mein to ek khilauna raha ek zara si ana ke liye umr bhar tum bhi tanha rahe main bhi tanha raha tere jaane ka manzar hi gham-khwar tha zindagi bhar jo aankhon se lipta raha mera ehsas sadiyon pe phaila hua aisa aansu jo palken badalta raha ghar ki sab raunaqen mujh se aur main 'wasim' taq par ek diye jaisa jalta raha