suraj ki tarah apne hi mehwar mein qaid hun sadiyon se raushni ke samundar mein qaid hun sar se guzarti jati hain lamhon ki aandhiyan main hun ki mah-o-sal ke chakkar mein qaid hun kya kya na sochta hun main farda ke bab mein haalanki jaanta hun muqaddar mein qaid hun chahun to kaenat ke khirman ko phunk dun tum kya samajh rahe ho ki patthar mein qaid hun shayad mera wajud tha ek hissa-e-zamin main khak ho ke bhi isi chakkar mein qaid hun 'tahir' main ek jazire ki manind aaj bhi tishna-dahan hun go ki samundar mein qaid hun