rafta-rafta ishq ko khud-agahi hone lagi dur kuchh barham-mizaji husn ki hone lagi allah allah girya-e-shabnam pe bhi hain khanda-zan bar-e-khatir mujh ko phulon ki hansi hone lagi dar-haqiqat ye mere zauq-e-nazar ka faiz hai husn ki duniya mein paida dil-kashi hone lagi shaikh jab ishq-e-butan mein ho gae na-kaamyab imtihanan phir khuda ki bandagi hone lagi un ke kuche mein bhi jaana mujh ko aasan ho gaya parda-posh-e-arzu diwangi hone lagi jor se kuchh kam nahin un ki karam-farmaiyan barsar-e-bazar hum se dil-lagi hone lagi aashiyan ki khair ho ya-rab ye kya andher hai shab ko gulshan ki taraf kyon raushni hone lagi faiz 'sahir' jaaniye is ko janab-e-'josh' ka ab hamari shaeri bhi sahiri hone lagi