nala-e-gham shoala-asar chahiye chaak-e-dil ab ta-ba-jigar chahiye kitne mah-o-najm hue nazr-e-shab ai gham-e-dil ab to sahar chahiye manzilen hain zer-e-kaf-e-pa magar ek zara azm-e-safar chahiye aaina-khane mein hai darkar kya chahiye ek sang agar chahiye dur hai dil manzil-e-gham se hanuz ek ghalat andaz-e-nazar chahiye tishnagi-e-lab ka taqaza hai ab baada ho ya zahr magar chahiye