mera yaqin kahin tha mera guman kahin main kho gaya inhi donon ke darmiyan kahin sukhan-taraaz hua hun main apne dil ke khilaf chipak na jae mere nutq se zaban kahin isi liye to kabhi mujtama’ na ho paya mera zaman kahin tha mera makan kahin mizaj-e-dahr nahin e'tidal par sahib chali na jae mere shahr se aman kahin bayan karne laga hun shikastagi dil ki chala na jae teri samt mera dhyan kahin kamand dal raha hai dilon pe khauf 'munir' simat na jae paron mein meri udan kahin