nind uDne ka sabab aur chain khone ka jawaz

nind udne ka sabab aur chain khone ka jawaz
puchhte hain log mujh se 'ishq hone ka jawaz

lad raha hun main akela kar-zar-e-hasti mein
kar faraham tu bhi zalim apne hone ka jawaz

dhundte hain log kaise harf-e-tund-o-tez se
dusron ki ruh mein kante chubhone ka jawaz

ye zaruri to nahin hum bhi faraham kar saken
baithe baithe apne daman ko bhigone ka jawaz

sahilon par aafiyat ma'dum ho jaane ke ba'd
aur kya hoga bhala kashti dubone ka jawaz

zabt ke bandhan ko jis ne tod dala hai 'munir'
puchhta hai dusron se mere rone ka jawaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close