sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka dar nahin apna hai us par aashiyan nakhl jo barwar nahin sunte ho ahl-e-qafila main koi rahbar nahin dekh raha hun tum mein se ek bhi rah par nahin maut ka ghar hai aasman is se kahin mafar nahin niklen to koi dar nahin bhagen to rahguzar nahin pahle jigar par aah ka nam na tha nishan na tha aakhir-e-kar ye hua aah to hai jigar nahin subh-e-azal se ta-abad qissa na hoga ye tamam jaur-e-falak ki dastan aisi bhi mukhtasar nahin barg-e-khizan-rasida hun chhed na mujh ko ai nasim zauq fughan ka hai mujhe shikwa-e-abr-e-tar nahin munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tu aankh khol kar hashr ki jo khabar na de aisi koi sahar nahin shabnam o gul ko dekh kar wajd na aae kis tarah khanda be-sabab nahin girya be-asar nahin tere faqir ka ghurur tajwaron se hai siwa tarf-e-kulah mein de shikan us ko ye dard-e-sar nahin koshak o qasr o baam-o-dar tu ne bina kiye to kya haif hai khanuman-kharab dil mein kisi ke gher nahin nala-kashi raqib se meri tarah muhaal hai dil nahin hausla nahin zohra nahin jigar nahin shatir-e-pir-e-asman wah-ri teri dastburd khusraw o kaiqibaad ki tegh nahin kamar nahin shan karim ki ye hai han se ho peshtar ata lutf ata ka kya ho jab han se ho peshtar nahin lakh wo be-rukhi kare lakh wo kaj-rawi kare kuchh to malal is ka ho dil ko mere magar nahin sun ke bura na maniye sach ko na jhut jaaniye zikr hai kuchh gila nahin baat hai neshtar nahin