mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye tu dost hai to nasihat na kar khuda ke liye wo kashtiyan meri patwar jin ke tut gae wo baadban jo taraste rahe hawa ke liye bas ek huk si dil se uthe ghata ki tarah ki harf o saut zaruri nahin dua ke liye jahan mein rah ke jahan se barabari ki ye chot ek imtihan-e-musalsal meri ana ke liye namida-khu hai ye mitti har ek mausam mein zamin-e-dil hai tarasti nahin ghata ke liye main tera dost hun tu mujh se is tarah to na mil barat ye rasm kisi surat-ashna ke liye milunga khak mein ek roz bij ke manind fana pukar rahi hai mujhe baqa ke liye mah o sitara o khurshid o charkh haf-iqlim ye ehtimam mere dast-e-na-rasa ke liye jafa jafa hi agar hai to ranj kya ho 'shaz' wafa ki pusht-panahi bhi ho jafa ke liye