ye aansu be-sabab jari nahin hai mujhe rone ki bimari nahin hai na puchho zakhm-ha-e-dil ka aalam chaman mein aisi gul-kari nahin hai bahut dushwar samjhana hai gham ka samajh lene mein dushwari nahin hai ghazal hi gungunane do ki mujh ko mizaj-e-talkh-guftari nahin hai chaman mein kyun chalun kanton se bach kar ye aain-e-wafadari nahin hai wo aaen qatl ko jis roz chahen yahan kis roz tayyari nahin hai