mere aage tazkira nashuq-o-ashiq ka bura

mere aage tazkira nashuq-o-ashiq ka bura
agli baaten mujh ko yaad aati hain ye charcha bura

na-gahani thi jo main aashiq hua ruswa hua
chahta hai koi duniya mein bhala apna bura

hai yahi surat to hum se raaz-poshi ho chuki
chashm tar lab khushk chehra zard ye naqsha bura

hum gharibon se na puchho nemat-e-duniya ka haal
shukr kar ke kha liya jo kuchh mila achchha bura

ek bose par bhi mera dil na sahab ne liya
itni qimat par to achchha tha na itna tha bura

kar guzariye mere haq mein aap jo manzur ho
aae din ka marka har roz ka jhagda bura

aadmi hota hai sargardan bagule ki tarah
aandhiyan achchhi hawa-o-hirs ka jhonka bura

aae jab wade ke shab mehndi laga baitha wo shokh
dusri raat istikhara aane ko aaya bura

ban ke ud nagan moazzin ko dase zulf-e-sanam
wasl ki shab ko azan-e-subh ka khatka bura

aankh se dekhogi wo kuchh aabru ko roogi
jhank-tak achchhi nahin ai 'bahr' ye lapka bura


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close