mere aasan se lahje ki mushkil kaun samjhega

mere aasan se lahje ki mushkil kaun samjhega
usi patthar mein hai maujud ek dil kaun samjhega

udasi ke siwa rahne khandar mein kaun aaega
dil-e-viran ki virani ko mahfil kaun samjhega

nahin hota wahan par bhi jahan hota hun main aksar
na hona hai mere hone mein shamil kaun samjhega

musibat ki ghadi mein kaam apne hi to aate hain
agar tu hi nahin samjha to ai dil kaun samjhega

hazaron chahne walon mein us ke ek main bhi hun
ujalon mein bhala jugnu ki jhilmil kaun samjhega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close