mujhe wafa-dariyon ki aadat kabhi nahin thi mere yahan ye ghalat riwayat kabhi nahin thi hamare matlab ki chiz ek be-badan ki shab thi hamein tumhaare badan ki hajat kabhi nahin thi tumhaare honton sa kah diya hai kisi ne shayad wagarna phulon mein ye nazakat kabhi nahin thi main is se pahle bhi wahshaton mein raha hun lekin jo aaj hai pahle aisi haalat kabhi nahin thi mere sabhi masale falak wale dekhte the mujhe zamin se koi shikayat kabhi nahin thi wo mujh mein apna bichhad chuka ishq pa gaya tha han us ko mujh se koi mohabbat kabhi nahin thi tumhaare bandon ko dekh kar aisa lag raha hai inhen khuda ki koi zarurat kabhi nahin thi