rutba-e-takht se mahrum hai mansab mera sahab-e-fahm samajhte nahin matlab mera hai mere sher se ahwal-e-zamana zahir padh lo tum bhi ki ye shisha hai mahaddab mera meri basti ko ujale mein dikha kar mujh ko qatl karta hai koi khwab mein har shab mera tarjuman hain mere mahaul ki ghazlen meri ye alag baat ki lahja hai mohazzab mera shahr-e-qazi tere fatwon se gharaz kya mujh ko rab mera dil mera marzi meri mazhab mera khushbu-e-sher se mahzuz hua kar 'rahat' gham ke bimar ye nuskha hai mujarrab mera