shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane jo din padte hain raaton ko mujhe teri bala jaane juda hum se hua tha ek din jo apne yaron mein khabar phir kuchh na pai kya hua waqe khuda jaane na rakh ai abr tu sar par hamare bar minnat ka wo baadal aur hain jo aag ko dil ki bujha jaane na rakh ai dil tu ummid-e-wafa in be-wafaon se khuda se hai wo begana jo but ko aashna jaane junun ne us ke gul se bulbulon tak shor dala hai 'yaqin' sa ho koi tab is tarah dhumen macha jaane