ridaen chalen khak-danon ki jaanib wafaen khule sar dukanon ki jaanib tere har sitam par yunhi be-irada nazar uth gai aasmanon ki jaanib ajab hai ye kar-e-sukhan sher-goi dhakele hai ratbul-lisanon ki jaanib nazar sarsarai badan par yun mere badhe sanp jaise khazanon ki jaanib mera ishq kahta hai mujh se ki aa ja tujhe le chalun main udanon ki jaanib abhi tifl-e-maktab hun aur na-ahl bhi kidhar le chale imtihanon ki jaanib shab-e-tar kachcha ghada ek dariya main badhne lagi dastanon ki jaanib to malbe se mere hi tamir hoga gira ke mujhe badh makanon ki jaanib meri rah chunna ki ab main rawan hun wafaon ke raushan nishanon ki jaanib ye nad-e-ali ka ajab moajiza tha sabhi tir palte kamanon ki jaanib