mere badan ki aag hi jhulsa gai mujhe dekha jo aaina to hansi aa gai mujhe meri numud kya hai bas ek tuda-e-siyah kaundi kabhi jo barq to chamka gai mujhe jaise main ek sabaq tha kabhi ka padha hua utthi jo wo nigah to dohra gai mujhe har subh main ne khud ko ba-mushkil baham kiya aai jo gham ki raat to bikhra gai mujhe main dasht-e-arzu pe ghata ban ke chha gaya garmi tere wajud ki barsa gai mujhe ye fart-e-intizar hai ya shiddat-e-hiras khamoshiyon ki chap bhi chaunka gai mujhe teri nazar bhi de na saki zindagi ka fan marne ka khel sahal tha sikhla gai mujhe