nawah-e-dil mein ye meri misal jalte rahen khas-o-gulab nabaat-o-nihaal jalte rahen kabhi na sard pade garmi-e-nashat-e-nafas tamam paikar-e-fikr-o-khayal jalte rahen ye jabr-e-waqt hai kaisa ki us ki yaad ke chand ugen to phir sar-e-shakh-e-malal jalte rahen hawa-e-hijr abhi tak hai mahw-e-khwab kahin fasil-e-jaan pe charagh-e-visal jalte rahen yunhi riwayat-e-tir-o-kaman rahe raushan nuqush-e-wahshat-e-pa-e-ghazal jalte rahen lage to qasr-e-shab-o-roz mein bhi aag lage jalen to sadiyon talak mah-o-sal jalte rahen hum us ki rah mein raushan kiye gae hain so 'ramz' karen na us se koi arz-e-haal jalte rahen