mere badan mein pighalta hua sa kuchh to hai

mere badan mein pighalta hua sa kuchh to hai
ek aur zat mein dhalta hua sa kuchh to hai

meri sada na sahi han mera lahu na sahi
ye mauj mauj uchhalta hua sa kuchh to hai

kahin na aakhiri jhonka ho mitte rishton ka
ye darmiyan se nikalta hua sa kuchh to hai

nahin hai aankh ke sahra mein ek bund sarab
magar ye rang badalta hua sa kuchh to hai

jo mere waste kal zahr ban ke niklega
tere labon pe sambhalta hua sa kuchh to hai

ye aks paikar-e-sad-lams hai nahin na sahi
kisi khayal mein dhalta hua sa kuchh to hai

badan ko tod ke bahar nikalna chahta hai
ye kuchh to hai ye machalta hua sa kuchh to hai

kisi ke waste hoga payam ya koi qahr
hamare sar se ye talta hua sa kuchh to hai

ye main nahin na sahi apne sard bistar par
ye karwaten si badalta hua sa kuchh to hai

wo kuchh to tha main sahaara jise samajhta tha
ye mere sath phisalta hua sa kuchh to hai

bikhar raha hai faza mein ye dud raushni ka
udhar pahad ke jalta hua sa kuchh to hai

mere wajud se jo kat raha hai gam-ba-gam
ye apni rah badalta hua sa kuchh to hai

jo chatta chala jata hai mujh ko ai 'bani'
ye aastin mein palta hua sa kuchh to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close