meri qadim riwayat ko aazmane lage mukhalifin bhi ab kashtiyan jalane lage main ladkhadaya to mujh ko gale lagane lage gunahgar bhi meri hansi udane lage dil-e-haris se tamir ki hawas na gai wo sath-e-ab pe kaghaz ka ghar banane lage kisi ki rah-e-munawwar mein moajaza ye hua hamare naqsh-e-kaf-e-pa bhi jagmagane lage na jaane kis ka hamein intizar rahne laga ki taq-e-dil pe diya roz hum jalane lage hue kuchh itne mohazzab ki sans ghutne lagi junun-pasand gale tak batan lagane lage badal gaya hai zamana bhi doston ki tarah mere harif bhi mujh se nazar churane lage jinhon ne kanton pe chalna hamein sikhaya tha hamari rah mein wo phul ab bichhane lage shurua ho gaya aankhon mein jashn-e-khush-khubi hui jo raat to har samt shamiyane lage