mere har-nafas mein basa hai tu mere fikr-o-fan mein qiyam hai ki kitab-e-dil ke warq warq mein likha hua tera nam hai na sukun-e-dair-o-haram mila na khuda mila na sanam mila tere dil se dil jo baham mila to qarar-e-dil bhi mudam hai jo chhudai mang se kahkashan to sitare kanp ke rah gae teri zulf abr ki chhawni tera chehra mah-e-tamam hai tu jamal ban ke nazar mein aa tu kamal ban ke hunar pe chha mujhe raat din teri aarzu teri justuju mera kaam hai hai surahi mai se ati hui hai sharab khum mein bhari hui zara dekh saqi-e-mai-kada mere hath mein tahi-jam hai mere khwab-reze simat gae mere aansuon ke hisar mein meri sahmi sahmi si subh hai meri larza larza si sham hai