mushaf-e-rukhsar par zulf-e-pareshan dekh kar hun pareshan kufr ke sae mein iman dekh kar ai sitam-ijad ai ghaarat-gar-e-sabr-o-sukun dil pareshan hai teri zulf-e-pareshan dekh kar josh-e-wahshat mein jo aa nikla main gulshan ki taraf hans pade hain gul mera chaak-e-gareban dekh kar mauj-e-bahr-e-gham se khelen kyon na aashufta-mizaj himmat-e-dil aur badh jati hai tufan dekh kar sirf sabza hi nahin jaur-e-khizan se paemal hai kali bhi muzmahil rang-e-gulistan dekh kar un ki yaad aate hi dil yun kanp uthta hai 'riyaz' jis tarah chaunke koi khwab-e-pareshan dekh kar