mere farzana banne ka bahut imkan baqi hai abhi jaib-o-gareban ki mujhe pahchan baqi hai mere sine mein tere tir ka paikan baqi hai ba-alfaz-e-digar rudad ka unwan baqi hai baqa-e-jawedan bakhshi hai jis ko teri nazron ne mere dil mein abhi aisa bhi ek arman baqi hai sarisht-e-husn ka tabdil hona ghair-mumkin hai sarisht-e-ishq mein jis waqt tak arman baqi hai 'aziz-warsi' us ki haqiqat kis tarah samjhe abhi to zat ka apni hi kuchh irfan baqi hai