muskuraati hui aankhen thin ki jhilmil se charagh

muskuraati hui aankhen thin ki jhilmil se charagh
us ke jate hi laga chal diye mahfil se charagh

tirgi ko hi mera rah-numa rahne de
mujh ko gumrah na kar den kahin manzil se charagh

shab-e-‘ashur bata tujh ko bhi ma'lum nahin
ba'is-e-nur-e-do-'alam hain ye bismil se charagh

kis ne khola hai mera raaz ki main hun suraj
hat gae sharm se khud mere muqabil se charagh

tujh se pahle hi hawa ne mera ghar dekh liya
ab darichon mein jalenge zara mushkil se charagh

main to gharqab-e-talatum hun badi muddat se
kis ko dete hain sada aaj bhi sahil se charagh

tu ki rukhsar pe khurshid liye phirta hai
raushni mangte rahte hain tere til se charagh

main to 'sagar' ki hun ek mauj tu pahchan mujhe
jab bhi chahunga main le jaunga sahil se charagh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close