naqsh-e-pa us ke rasta us ka mud ke dekha to kuchh na tha us ka mubtala kar gaya azabon mein ek kamzor faisla us ka ikhtiyaraat kam na the mere main ne chaha nahin bura us ka kaam to aur hi kisi ka tha nam bad-nam ho gaya us ka log jis zahr se halak hue kitna mitha tha zaiqa us ka jo meri haar par bahut khush tha ab hai khud se muqabla us ka rah ki zulmaton se manzil tak ek ujala hai hausla us ka kaun jaane wo kyun bhatakta raha us ko to yaad tha pata us ka us ke qatil badi aqidat se pujte hain mujassama us ka tod kar mujh se rishta-e-ummid kitna nuqsan ho gaya us ka ghalati ho gai samajhne mein chahta tha main faeda us ka