mere ham-nashin mere dilruba mujhe bhul ja mujhe bhul ja na khayal kar mera ba-khuda mujhe bhul ja mujhe bhul ja wo guzarishen wo nawazishen wo shikayaten wo inayaten mere sath un ko bhi de bhula mujhe bhul ja mujhe bhul ja wo sahe hain main ne tere sitam jo qalam se ho na saken raqam mera haal jo bhi hua hua mujhe bhul ja mujhe bhul ja mujhe ab kinare se kaam kya mujhe bahr-e-gham mein hi chhod de ai mere safine ke nakhuda mujhe bhul ja mujhe bhul ja tujhe wasta mere haal ka mere ranj-o-gham ka malal ka kisi aur pe tu kar ab jafa mujhe bhul ja mujhe bhul ja teri ashk-bari fuzul hai teri be-qarari fuzul hai mere gham-nawa mere dil-ruba mujhe bhul ja mujhe bhul ja meri chah ka yunhi nam hai tujhe ab raqibon se kaam hai but-e-bewafa sitam-ashna mujhe bhul ja mujhe bhul ja main nahin hun qabil-e-ranj-o-gham main nahin hun laeq-e-ranj-o-gham hai shabana roz ye iltija mujhe bhul ja mujhe bhul ja na wafa ki ab hain zaruraten na karam ki ab mujhe khwahishen meri yaad se tujhe faeda mujhe bhul ja mujhe bhul ja kabhi dil ko tujh se piyar tha wo zamana ab to guzar gaya na wo dil raha na tu dilruba mujhe bhul ja mujhe bhul ja