wo ku-e-yar ko jate hain be-niyaz nahin

wo ku-e-yar ko jate hain be-niyaz nahin
hain sang-e-dil hi wahan koi dil-nawaz nahin

hai mukhtasar sa hi qissa hayat ka logo
kisi ke hisse ki to umr kuchh daraaz nahin

dikhae rah magar kaisa aaftab hai wo
ho jis ko mashriq-o-maghrib mein imtiyaz nahin

buri nahin hai khud-arai par ye thik nahin
ki samjho khud sa jahan mein hai sarfaraaz nahin

ye aabshaar se maghmum chashm se jo gire
karenge kya kaho patthar ka dil gudaz nahin

karenge sajde jahan par dikhe tera paikar
hai but-parasti ko darkar ja-namaz nahin

ghurub-o-sharq hain taqdir-khur magar mujh ko
nasheb hi nazar aata hai ab faraaz nahin

nikal naqs magar itna yaad rakh 'naqid'
hai nukta-chini se mujh ko bhi ehtiraaz nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close