sahar ye naddi hai aansuon ki na puchh is ka bahao pyare ki is ke tufan-e-mauj-e-gham mein bachegi kya dil ki naw pyare mujhe to aadat hai gham ki rahon mein chalne phirne ki ai sitamgar magar shabab-e-sitam ka tere kahan hai agla padaw pyare ye ranj-o-gham ye tadap ye aahen ye huzn-o-hirman alam karahen yahi kamaya hai umr bhar to usi kamai ko khao pyare ghamon se kis ko hai rustagari to kahe lab pe hai aah-o-zari usi ko dena padega marham diya hai jis ne ye ghaw pyare hai ab bhi sabit ki para-para wo dil ke ranj-o-mehan ka mara ghamon se yari hai gham hi yara kuchh haal us ka batao pyare tumhaari rudad-e-dard-e-hasti ye shahr-yaran-e-kaif-o-masti kahan chale aae ho bhatak ke ye bazm-e-ishrat hai jao pyare mere khayalon ki anjuman mein ghamon ki ek bhid si lagi hai kahan base ho khayal-e-jaanan ghazal ke sanche mein aao pyare jo khul gaya ye dahan to pyare hila ke rakh dega anjuman ko ghawamiz-e-khamushi na puchho tum apni mahfil sajao pyare kasad-bazari-e-nazar mein kahan thi tahsin-e-naz-o-nakhwat ye mera bazar-e-dil tha jis ne badha diya tera bhaw pyare hai sheriyat bhi ghenaiyat bhi hai is mein daudiyat bhi lekin ghazal ke sine mein rakh diya hai ye kis ne gham ka alaw pyare tumhaara charcha hai anjuman mein khamosh baithe ho kyon 'sahar' tum bala se samjhe na wo sitamgar tum apna dukhda sunao pyare