mere harif hi ko sahi chahta to hai ab us ki zindagi mein koi tisra to hai mana guzarta hai wo masruf zindagi lekin kabhi kabhi hi mujhe sochta to hai chhalki hui hain saat-e-jaan ki gulabiyan mahfil mein aansuon ki abhi rat-jaga to hai us ko udas dekh ke kitni khushi hui meri tamam umr ka gham-ashna to hai nok-e-mizha pe us ki sitara kabhi kabhi mere dhadakte dil ki tarah kanpta to hai sach hai ki titliyon se use hai munasibat kam kam hi barg-e-dil pe magar baithta to hai angdaiyon se phul ki aati to hai sada khushbu ka shokh-o-shang badan tutta to hai