saza baghair adalat se main nahin aaya ki baz jurm-e-sadaqat se main nahin aaya fasil-e-shahr mein paida kiya hai dar main ne kisi bhi bab-e-riayat se main nahin aaya uda ke lai hai shayad khayal ki khushbu tumhaari samt zarurat se main nahin aaya tere qarib bhi yaad aa rahe hain kar-e-jahan bahut qalaq hai ki fursat se main nahin aaya guzar gae yun hi do chaar din aur is ke baad yahi hua ki nadamat se main nahin aaya hamesha sath raha hai 'sahar' mera suraj guzar ke wadi-e-zulmat se main nahin aaya