mere hi aas-pas ho tum bhi in dinon kuchh udas ho tum bhi barha baat jine marne ki ek bikhri si aas ho tum bhi sail-e-naghma pe itni hairat kyun is nami se shanas ho tum bhi main bhi duba hun aasmanon mein khwab mein mahw-e-yas ho tum bhi main hun tuta sa paimana ek khali gilas ho tum bhi gar main dukh se saja hua hun to ranj se khush-libas ho tum bhi apni fitrat ka main bhi mara hun apni aadat ke das ho tum bhi meri mitti bhi ret ki si hai aur sahra ki pyas ho tum bhi