pahadon se abhi nikla nahin tha main dariya tha magar gahra nahin tha ayan hota kisi par raaz kyun-kar abhi wo waqt hi aaya nahin tha sar-e-maqtal mere hi tazkire the magar main ghaar se lauta nahin tha haram tha muntazir sadiyon se jis ka wo koi but-shikan aaya nahin tha ajab andaz ka tha ilm mera kisi ke fahm mein aata nahin tha main aise bhes mein basti se guzra kisi ne mujh ko pahchana nahin tha shab-e-hijrat bahut khadshe the lekin zamana nind se jaga nahin tha kuchh aisi raushni chhai hui thi kisi ko kuchh nazar aata nahin tha yahi pahchan thi 'asif' hamari hamare pas aaina nahin tha