na manzil na rah-e-adam dekhte hain magar jaane walon ko hum dekhte hain ajab naz se hath sine pe rakh kar wo bimar-e-hijran ka dam dekhte hain jawab khat-e-shauq ki ye khalish hai wo nakhun pe zor-e-qalam dekhte hain mohabbat ke aansu bhare chashm-e-tar mein hababon mein ju-e-karam dekhte hain kahan ho 'hayat' ag guzarti hai kaisi idhar aate jate bhi kam dekhte hain