zindagi itni be-maza kyun hai dard-o-gham se ye aashna kyun hai is zamane ke sath sath hun main phir mukhalif mere hawa kyun hai chaaragar bhi na kar sake tashkhis ishq ka dil ko aariza kyun hai shahr mein ghar to aur bhi the magar ek hamara hi ghar jala kyun hai jab wo shah-rag ke hai qarib to phir meri nazron se wo chhupa kyun hai hum abhi muttahid hue bhi nahin sare aalam mein tahlka kyun hai us ke gham mein pata chala ro kar qatra-e-ashk be-baha kyun hai sakte mein kufr aaj bhi hai 'waqar' rahnuma haq ki karbala kyun hai