mere honTon ko chhua chahti hai

mere honton ko chhua chahti hai
khamushi! tu bhi ye kya chahti hai

mere kamre mein nahin hai jo kahin
ab wo khidki bhi khula chahti hai

zindagi! gar na udhedegi mujhe
kis liye mera sira chahti hai

sare hangame hain parde par ab
film bhi khatm hua chahti hai

kab se baithi hai udasi pe meri
yaad ki titli uda chahti hai

nur mitti mein hi hoga un ki
jin charaghon ko hawa chahti hai

mere andar hai ummas is darja
mujh mein barish si hua chahti hai

bhor aai hai eraser ki tarah
shab ki tahrir mita chahti hai

aasman mein hain sarabon ki si
jin ghataon ko hawa chahti hai

chand ka phul hai khilne ko phir
sham ab shab ko chhua chahti hai

phir na lautegi meri aaankhon mein
nind rangon si uda chahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close