yar ke bin bahaar kya kije gul na howe to khar kya kije kaam mera to ho chala aakhir ai mere kirdgar kya kije koi wada wafa nahin karta wo taghaful shiar kya kije misl-e-aina khud-numa mera sab se ho hai do-chaar kya kije soz-e-dil mera mujh ko de hai jala aah misl-e-chinar kya kije ishq ne kar diya mujhe majbur ab nahin ikhtiyar kya kije misl-e-zulf-e-butan fasana-e-dil hai tawil ikhtisar kya kije guzri jo dil pe mere ho guzri us ka ab ishtihaar kya kije dil to gulchin hai tere gulshan ka le ke gul-ru hazar kya kije wo to aata nahin hai mere pas ai dil-e-be-qarar kya kije be-tarah hai mujhe ye mushkil ishq sahab-e-zulfiqar kya kije ai 'jahandar' sab jahan dhunda nain kui gham-gusar kya kije