raat din chain hum ai rashk-e-qamar rakhte hain sham awadh ki to banaras ki sahar rakhte hain bhanp hi lenge ishaara sar-e-mahfil jo kiya tadne wale qayamat ki nazar rakhte hain dhundh leta main agar aur kisi ja hote kya kahun aap dil-e-ghair mein ghar rakhte hain ashk qabu mein nahin raaz chhupaun kyunkar dushmani mujh se mere dida-e-tar rakhte hain kaise be-rahm hain sayyaad ilahi tauba mausam-e-gul mein mujhe kat ke par rakhte hain kaun hain hum se siwa naz uthane wale samne aaen jo dil aur jigar rakhte hain dil to kya chiz hai patthar ho to pani ho jae mere nale abhi itna to asar rakhte hain chaar din ke liye duniya mein ladai kaisi wo bhi kya log hain aapas mein sharar rakhte hain haal-e-dil yar ko mahfil mein sunaun kyun kar muddai kan udhar aur idhar rakhte hain jalwa-e-yar kisi ko nazar aata kab hai dekhte hain wahi us ko jo nazar rakhte hain aashiqon par hai dikhane ko itab ai 'jauhar' dil mein mahbub inayat ki nazar rakhte hain