meri baat ka jo yaqin nahin mujhe aazma ke bhi dekh le

meri baat ka jo yaqin nahin mujhe aazma ke bhi dekh le
tujhe dil to kab ka main de chuka use gham bana ke bhi dekh le

ye to thik hai ki teri jafa bhi ek ata mere waste
meri hasraton ki qasam tujhe kabhi muskura ke bhi dekh le

mera dil alag hai bujha sa kuchh tere husn par bhi chamak nahin
kabhi ek markaz-e-zist par unhen sath la ke bhi dekh le

mere shauq ki hain wahi ziden abhi lab pe hai wahi iltija
kabhi is jale hue tur par mujhe phir bula ke bhi dekh le

na mitega naqsh-e-wafa kabhi na mitega han na mitega ye
kisi aur ki to majal kya use khud mita ke bhi dekh le

kisi gul-e-fasurda-e-bagh hun mere lab hansi ko bhula chuke
tujhe ai saba jo na ho yaqin mujhe gudguda ke bhi dekh le

mere dil mein tu hi hai jalwa-gar tera aaina hun main sar-basar
yunhi dur hi se nazar na kar kabhi pas aa ke bhi dekh le

mere zarf-e-ishq pe shak na kar mere harf-e-shauq ko bhul ja
jo yahi hijab hai darmiyan ye hijab utha ke bhi dekh le

ye jahan hai ise kya padi hai jo ye sune teri dastan
tujhe phir bhi 'mulla' agar hai zid gham-e-dil suna ke bhi dekh le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close