sozish-e-gham ba-ru-e-kar aai aah bhi lab pe shoala-bar aai chashm-e-giryan ki aabyari se dil ke daghon pe phir bahaar aai dast-e-wahshat ki kar-farmai ta-ba-daman-e-tar-tar aai tere diwane kya bhala jaanen kab khizan aai kab bahaar aai kasmapursi ka uf-re ye aalam yaad hum ko jafa-e-yar aai dekho wo chhai udi udi ghata mai-gusaron ki gham-gusar aai su-e-gulshan jo aaj aa nikle yar ki yaad bar bar aai bhini bhini kisi badan ki mahak bu-e-gesu-e-mushk-bar aai ghuncha o gul ka dekh kar jauban yaad-e-mahbub-e-gul-azar aai hai jawani khud apni mashshata husn ko kis qadar nikhaar aai 'khar' ulfat ki baat jaane do zindagi kis ko sazgar aai